Kya Khud se mohabbat kar baithi hu me?

By Anonymous

Aaj din bahut achcha tha Mera, Har Kisi Ko dekhte Hi chehra muskura Raha tha Mera, Khud Hi khud mein Khush Thi main, Apne aap ko sawarne mein hi mashgul thi main Kisi ke kuchh kehne se aaj kuchh khaas fark pada nahin mujhko Unki baton par muskura kar sidha jawab De aai me unko, Kya khud se mohabbat kar baithi hu me? Woh kahate Rahe bacchi Hun Main, per esi Bachpane mein acchi Hun Main, Khud Se pyar karna Sikh rahi hun main, apne aapke sath rahana Sikh rahi hun mein, Jis akelepan Se ghabra rahi thi mein, Ab use akelepan ko apna Sathi banaa rahi hun main, Dusron ko Khush karne mein apne aap ko dukhi karti thi main Ab apne aap ko Khush rakhne ka zima utha rahi hun, Khud Ko dusron se kam samajhti Thi main, Ab Apne aap Ko Kisi Se Kam samajhti nahin Ho mein, Haan.. khudse mohabbat kar baithi hu me... Haan.. khudse mohabbat kar baithi hu me...

Read on Writory Wall