Ek maa hi hain jo mujhe mujhse bhi behtar jaanti h

By Anonymous

Ladkhadate hain kadam, mujhe akeli sambhaalti hain, Muskurahat ke peeche chhupi meri udaasi woh bakhoobi pehchanti hain.. Ek maa hi hain jo mujhe mujhse bhi behtar jaanti hain. Pedo ki tarah tath kar khadi rehti hain woh, mujhe har aandhi se bachaati hain. Main ek phool ugaane se sankochti hoon, Na jaane kaise wo pura baag paal deti hain. Par me unhe is tarah kyu nhi jaanti? Paas sab hain, par sirf unhi ki god me mili hai shanti Khushi ho ya dukh, nazro se padh leti hain Arre depression ko toh faltu kachre ki tarah baahar nikaal leti hain Ek maa hi hai jo mujhe mujhse bhi behtar jaanti hain Main ek katra hoon jo khudse sambhaali nahi jaati, woh pura samandar, mujhe apne me samaa leti hain. Jab roothi hoti hoon, mujhe pyaar se manati hain, Apni baaton se zindagi ko khoobsoorti se jeena seekha deti hain. Zindagi hai bitani unke bagair ab, Or ek lamha unke bina nahi guzaar paati. Kaash, me bhi unhe thoda aur jaan paati.

Read on Writory Wall