Maa
By Sakinakushlgarh
Teen lawzo ka ye shabd apne aap mein hi bhot kuch kehjata hai ,
Mere harr dukh ko woh apne ap mein sama leti hai ,
Meri harr khushi ko woh dugana kar leti hai ,
Harr dua mein woh humara hi naam piroti hai ,
Harr din maano ke woh bass apne bacho ke liye hi jeeti hai ,
Har dafa woh humko daat laga ti hai ,
Use dugna pyaar humpe lutta jaati hai,
Hai woh duniya humari ,
Uske hone se hi to sukoon hai ghr mein humare ,
Warna to char diwaro ka makan sa hai ghr humara,
Bin batai woh din me kitna kuch kaar jaati hai,
Humari araam liye woh apna harr sukh chod jaati hai ,
Harr mushkil ko woh humse Durr rakhti hai,
Bacho pe aanch na ai uske har roz woh uska hi khayal rakhti hai,
Uske Bina to Mera har din adhura Hai,
maa agar na Ho zindagi mein To Meri zindagi mein andhera hai,
Apne Aanchal mein woh mujhko chhupa leti Hai ,
Uske Siva Koi dant lagaye mujhko to woh usko dant laga aati hai,
Uska Dil bahut bada Hai ,
har Kisi Ko Apne Dil mein Sama leti Hai,
pata nahin kahan se itni jagah jaati Hai,
har Kisi per beshumar pyar Luta jaati Hai,